 koi tum se poche kaun hon mein, tum keh dena koi khas nai, ek dost hai kacha paka sa, ek jhoot hai aadha sacha sa, jazbat ko dhanpe ek parda, bus ek bahana saccha sa, jevan ka asa sathi hai jo dor nar ho kar pass nai, koi tum se poche kaun ho mein, tum keh dena koi khas nai. (copy)By: moni moniahmed_bse@yahoo.com
 Kabhi jo maazi main jhankoge
Tumhain hum yaad aayenge
Kisi lamhe kuch jo sochoge
Tumhain hum yaad aayenge
Kabhi yun hi akele main
beet-e- dino ko soch ker
Koi geet jo gungunaoge
Tumhain hum yaad aayenge
Sab doston ki mehfil main
Kisi shokh si baat per
zer-e-lab jo muskuraoge
Tumhain hum yaad aayenge
Zindagi ke kisi morr per
Apne Dil ki baat ko
Kisi se keh na paoge
Tumhain hum yaad aayenge (copy)By: Umar leo_umar@hotmail.com
 Kabhi nazar se giraa diyaa,
Kabhi dil mein basaa liyaa,
Mohabbat mein tumne, humein,
Kabhi hasaa to kabhi rulaa diyaa
Kabhie pyaar be_shumaar kiya
Kabhi dard be_intehaa diya
Apni dewaangee mein tumne, humein,
Kis mukaam par puhancha diya
Kabhi mausam_e_bahaar se mila diya,
Kabhi sehra mein tanha kar diya
Dil ko khilona samajh kar tumne,
Humein Har khel mein hara diyaa
Kabhi umeedon ko barhaa diya
Kabhi mayoosiyon ne jeena dushwaar kiya,
Phir bhi humdam humne, tumhein
Pyaar ki had se. hai ziyada pyaar kiyaa (copy)By: lallo panjoo
 na gawaon naavak-e-niim-kash, dil-e-reza reza ganvaa diyaa
jo bache hain sang samait lo, tan-e-daagh daagh lutaa diyaa
mere chaaraagar ko naved ho, saf-e-dushmanaan ko Khabar karo
wo jo qarz rakhate the jaan par, wo hisaab aaj chukaa diyaa
karo kaj jabiin pe sar-e-kafan, mere qaatilon ko gumaan na ho
kay Ghuruur-e-ishq ka baankpan, pas-e-marg hamane bhulaa diyaa
udhar ek harf ki kushtanii, yahaan laakh uzr thaa guftanii
jo kahaa to sun ke uraa diyaa, jo likhaa to parh ke mitaa diyaa
jo ruke to koh-e-garaan the ham, jo chale to jaan se guzar gaye
rah-e-yaar hamane qadam qadam, tujhe yaadagaar banaa diyaa (copy)By: Bilal onenonly4u@hotmail.com
 Wafa ruswa nahi karna
Suno aisa nahi karna
Main pehle hi akeli hoon
Mujhe tanha nahi karna
Juddayi bhi agar aaye to
Dil chota nahi karna
Bohat masroof hojaana
Mujhe socha nahi karna
Bharosa bhi zaroori hai
Magar sab ka nahi karna
Muqaddar phir Muqaddar hai
Kabhi daawa nahi karna
Jo likha hai zaroor hoga
Kabhi shikwa nahi karna
Meri takmeel tum se hai
Mujhe aadha nahi karna
Haqeeqat hai milan apna
Is se sapna nahi karna
Hamain tum yaad rehte ho
Hamain bhoola nahi karna ..... (copy)By: sadaf mehak_sadaf@hotmail.com
 tera dard tha...teri ass thi..........
mein jidher gyaa mein jahan gyaa..........
mera din tu unhi guzar gyaa..........
junhi sham hoi mein bikhar gyaa.........
is abr ka mery yar sy.........
kitna milta julta mizaj tha.......
kabhi toot kar bikhar gyaa........
kabhi be rukhi sy guzar gya.........
koi bat bhi na keh saka.........
bas thori der ka sath tha........
tu mila tha raat khawa mein..........
junhi sub hoi bicher gya..........
jab chor doon ga wo galii.........
tujhy yaad ay gi tab meri...........
tu dhondy ka mujhy gali gali.........
or khaber mily gi mein MAR gya!!!!!........... (copy)By: kash-if kashif_imt6@hotmail.com
 Eik sarsari si nazar woh Mujh par bhi daal day..
Ae Rab-e-Zuljalal Usay itna khayal day...
Itna bhi Urooj kiya k woh mil hi na sakay..
Woh ho sakay mera,Usay itna toh Zawal day! (copy)By: Raja Gulraiz rajagulraiz@hotmail.com
 PUCH LO KHUDA SE TUMHARE LIYE HI HUMNE DUWA MAANGI,
PUCH LO HAWA SE TUMHARE LIYE HI HUMNE FIZA MAANGI,
JAB BHI HUWI AAPSE KOI GHALTIYA HUMNE DUWA ME ,
KHUDA SE APNE HI LIYE HUMNE SAAZA MAANGI (copy)By: urooj
 wafa ruswa nahin karna
suno aisa nahin karna
mein pehle hi akela hoon
mujhey tanha nahin karna
meri yeh jheel si aankhein
kabhi sehra nahin karna
judayi bhi jo a jaye
to dil chota nahin karna
bohot masroof ho jana
mujhey socha nahin karna
bharosa bhi zaroori hai
magar sabka nahin karna
muqadar fir mqadar hain
kabhi dawa nahin karna
meri takmeel tumse hai
mujhey adha nahin karna
jo likha hai wohi ho ga
kabhi shikwa nahin karna
haqeeqat hai milan apna
isay sapna nahin karna.... (copy)By: Maha
 Yeh Yaqeen Khud Ko Bahir Haal Dilana Ho ga
Ham Musafir Hain Yahan Say Hamay Jana Ho ga
Yeh Woh Busti Hai Jo Busti Hai Aujarnay Kay Lia
Ghar Kaheen Aur Hamay Ja Kar Basana Ho Ga
Yeh Yaqeen Khud Ko Bahir Haal Dilana Ho ga
Ham Musafir Hain Yahan Say Hamay Jana Ho ga
Dil Banay Asa Kay Ham Shooq Say Jain Warna
Dil Na Chahay Ga Magar Jaan Say Jana Ho Ga
Yeh Yaqeen Khud Ko Bahir Haal Dilana Ho ga
Ham Musafir Hain Yahan Say Hamay Jana Ho ga
Band Hootay Hi Khulain Gi Hamari Ankhain
Ranj-o-Hasrat Ka In Ankhoon Main Fasana Ho Ga
Yeh Yaqeen Khud Ko Bahir Haal Dilana Ho ga
Ham Musafir Hain Yahan Say Hamay Jana Ho ga
Dil Ujarnay Say Bachana Hai To Laila Kay Bajayeh
Apnay Dil Ko Ghamay Maula Say Sajana Ho Ga
Yeh Yaqeen Khud Ko Bahir Haal Dilana Ho ga
Ham Musafir Hain Yahan Say Hamay Jana Ho ga
Ba Khuda Gar Hamay Pana Hai Khuda Ko Murtaza
Ba Khuda Tak Hamaray Har Haal Main Jana Ho Ga
Yeh Yaqeen Khud Ko Bahir Haal Dilana Ho ga
Ham Musafir Hain Yahan Say Hamay Jana Ho ga (copy)By: sadaf mehak_sadaf@hotmail.com
 Main jeet kar hara wo haar kar bi jeet gaia
wo mere dill or damag par chah gaia
muje naaz tha bohat khud par
wo mere garoor ko khak main mila gaia
marte rahe husan wale aaj tak muj par
wo muje apna deewan bana gaia
mohabat karna muje kaha aata tha
wo muje muhabat karna sehkha gaia
zinda rehne ki kab talab thee baki
wo zinda rehna sehkha gaia
main andehrooin main bhatakta raha
wo meri zindagi main shamah jala gaia
dokooin bhari dastan thi meri
wo meri jholi main khushian dall gaia
meri her gazal us ke naam hai wo muje or
mere kalum ko nai zaban sehkha gaia (copy)By: sehrish
 Tumhari yaad ka mousam!
jo her ik dukh say gehra hay
na jaanay kitni mudaat hay humaray dil mein tehra hay
mager tum nay nahi jana...mager tum nay nahi socha
Tumharay piyaar ka mousam!
jo ik mousam say piyara tha
meray bay kraaaan lamhoon ka ik wahid sahara tha
mager tum nay nahi samjha...mager tum nay nahi socha
Tumharay baad ka mousam!
ik kaali ghaat jaysa
naa jeeti hoi aur na haari hoi ik maat jaysa
mager tum nay nahi samjha...mager tum nay nahi socha (copy)By: Fiza ali fizaali172@hotmail.com
 Aankhon se meri is liye laali nahi jati
Yadon se koi raat jo khaali nahi jati
Ab umr na mosam na wo rustay keh wo pultay
Is dil ki mager khaam khayali nahi jati
Mangay ager tu jaan bhi tow huss ke tujhe de dein
Teri to koi baat bhi taali nahi jaati
Aaye koi aaker ye tere dard sambhalay
Hum se to ye jaageer sambhali nahi jaati
Maloom hamain bhi hain bohut se teray qissay
Per baat teri hum se uchali nahi jaati
Humrah teray phool khilati thi jo dil mey
Ab shaam wohi dard se khaali nahi jaati
Hum jaan se jayein gay tabhi baat banay gi
Tum se to koi rah nikali nahi jaati (copy)By: Asad ali
 Sari Duniyaan Main faqt Tujh Se muhabbat Ki Hai,
tu Kisii Aur ki Ho Jaye Yeh Mumkin Nahi....
Zindagi Kay sabhe Yaadein hain Tujh Say Wabasta,
Tu Meri Yaad Say Gafel Ho Ja yeh Mumkin Nahi...
Main Jo Raaton Ko Jagta Hoon teri Chahat Main,
Tu Jo So Jaye Sukoon say yeh Mumkin Nahi.....
Naam Tera Aye Ga Meray Naam Se Hemesha,
Toh Kissi Aur Ki Khalaye Yeh Mumkin Nahi... (copy)By: Raja Gulraiz rajagulraiz@hotmail.com
| | | | | | | | | | | | | |